MAIN AUR MERA BHARAT

Mujhme aur Mere Bharat me badi samanta hai,
Itni samanta hai, Itni samanta hai, k jitni ek bap bete me hoti hai,

Bharat ka bhavishay 70 Varshon se ujjawal hai, aur Mera bhi Bhavishay 30 Varshon se ujjawal hai,
par vartman avi tak ni sudhra hai, par bhavishay ujjawal hai,

Ye soch k Main v Mast aur Mera Bharat v Mast, 

Mere Padoshi Mujhse aur Bharat k Padoshi Bharat se Jalte hai,
wo v us pragati k lie jo Hamne aj tak ki hi ni,

Shayad unhe shaq hai k Ham Khushahal aur Malamal hai. 

Avi kuchh sal hue Bharat ne apne teen Mitron(America, Chin and Roos) se Udhar lia,
Main v Apne Teen Mitron se Udhar lia,

Waise ham Udhar ko Udhar ni Amdani mante hai, Nau Nakad Terah Udhar ka Hisab Rakhte hai,
Bharat k Mitron ne Uska udhar Muaf kar dia,
aur Mere Mitra Udhar reason Mere Ghar a dhamke,

Mitron k Mamle me Bharat ne Mujhse Baji mar li,
Bharat k mitra Raja Bhoj aur Mere Mitra Gangu Teli Nikle,

Avi kuch Din purv Bharat me do Badi durghatnae hui,
Meri v unhi dino do bar jeb kati,

Janch karane par dono hi ghatnaon  me bahari hath nikla.
Mere Jiwan me ek kanya ai nam tha Radha,
Radha Bada meetha bolti thi, Roz Roz naye naye wadon ki Ganth kholti Thi, Par Man k Bhed kavi nai Kholti thi,
Usne kai varshon tak Mujhe Wadon k ghane Jangal me Ghumaya,
Bharat K jiwan me v ek aisi hi Meethi Bala ai.
Fark ye tha Mere Jiwan me me Radha aur Bharat k Jiwan me RAJNITI Ai,
Bharat k Jiwan me RAJNITI Ai......

Comments

Popular posts from this blog

AHSAS

HAMARA SAPNA

NAVIK JAB NAUKA KHETA HAI...!!!!